Wednesday 28 December 2016

how to make super blogger tips blog kaise banate hai

how to make super blogger tips blog kaise banate hai

how to make super blogger tips Blog  Ko Istemal Kaise Kare or kaise acha banaye...
 Blog  Ko Istemal Kaise Kare
dosto me aapko batane ja raha hu vo sayad kisi ne na kaha ya bataya hoga.
 Aapki site ko kitne log like karte hai apne kbhi socha hai
yahi aapke blog ko memorable banata hai. Sabhi chahate hai
ki unki site ka sabse jyada pasand kiya jaye or unki site par
sabse jyada traffic ho. Insan ko uski personality great banati
hai. Aaj main aapko apni personality ka istemal kar blog ko
great, success, memorable banane ke bare me btaunga.
Aayiye jante hai blogging me apni personality ka istemal kaise
kare or apni site ko successful, memorable kaise banaye
 Aapse ek sawal pucha jaye ki  Aap kitne blog ke bare me jante
hai?  to aapke jawab me only 5 to 10 blog nad blogger hi
honge. Aap ye question kisi bhi blogger se puch sakte hai uska
 bhi javab  yahi hoga fir chae wo 1, 2, 3 to 10 year se blogging
kar raha ho.
 net- Internet par lakho blogs hai but sirf kuch hi aese memorable
blog hote hai jo humare dimag me bas jate hai. Unka design,
writing skill sabkuch humare man me aesi jagah bana lete hai
jaise wo koi apna hi ho. Kya aapne kabhi socha hai ki aesa kyuhota hai or sabhi blog humare ming me jagah kyu nahi banapate hume sabhi se itna lagav kyu hota hai.
Main or aap, hum sabhi daily bahut sare blog read karte hai
but unme se hum sirf 5­10 blog ko hi like karte hai. Iska sabse
bada reason hai humare favorite blog par sabse alag
personality ka istemal kiya jana. Hume un par wo content
padhne ko milta hai jo sabhi par nahi milta.
 Jis site par other websites se matched content ho hum use
kabhi bhi apni favorite list me add nahi karenge. Humari top
best list me sirf wohi blogger or unke blog hote hai jo sabse
alag or different tarike se work karte hai. Humare jaise
sochne wale or humare jaisa work karne wale bahut hai. Balki
yu kaho ki humse bhi badh kar talented logo ki bheed hai.
Hume is bheed se aage nikal kar sab ke samne aana hoga.
 kal , hum isi ke bare me bat karne wale hai ki hum kaise
apni personality ka istemal kar apne blog ko lakho blogs ki
bheed se bahar nikal kar stage par la sakte hai. Tabhi hum
apne field me star ban payenge warna dusro ki tarah similar
blogger ban kar rahe jayenge.
 Har insan ki alag personality hoti hai. Uska work karne ka ekalag tarika hota hai. Aap me bhi kuch na kuch sabse alag jarur
hoga. Aapko bas use pani site par dikhane ki jarurat hai.
Aapka talent hi hai jo aapko aage tak le ja sakta hai. Iska pata
hume tab chalta hai jab humare reader kahte hai ki hume
aapki writing skill dusro se jyada pasand aati hai.
Humara content likhne ka tarika him hame dusro se alag
banata hai. Bhale hi hum usi topic par likhe jis par pahle se
bahut se log likh chuke hai humari writing skill dusro se
better hogi to us content ko pahle se read akr chuke user bhi
fir se read karna pasand karenge.
Although, degree important hai but main degree se jyada
insan ke talent ko dekhna sahi samajhta hu. Agar aap me kisi
kaam ko karne ka talent ya experience nahi hai to aapki
degree koi kam ki nahi. So kabhi ye na soche ki humare
competitor ke pas hamse jyada degree hai or hum usse aage
nahi ja sakte.
Aap sabse aage ja sakte ho bas aapko jarurat hai apni alag
pahchan (Distinct Personality) banane ki or uske liye aapko
sirf apne dimag ko sahi istemal karne ki jarurat hai.
Examples, Shah rukh khan ek aesa insan tha jiska bollywood
me kuch bhi nahi tha or na hi uske pas koi badi degree thi fir
bhi wo bollywood ka badshah ban gaya. Iski wajah uska hard
work or uska sabse alag andaz me kaam karne ka tariak tha.
Bas hume bhi uski ki tarah kuch alag pahchan banani
hogi. Hume bhi kuch aesa karna hoga jo abhi tak kisi ne nahi
kiya tabhi sabhi ki juban par humara or humare kaam ka
naam hoga.
make-money-super-blogger-tips
super blogger tips
 Ye motivational article nahi hai or hume blogging par bat
karni hai. Apne blog design, content writing skill,
management and other all work ko sabse different banaotabhi log aapke blog ko yaad rakhna shuru karenge.
Anyhow, main aapko suggest karunga ki dusro ki tarah kaam
karna chordiye or apna khud ka plan bana kar work start
kijiye fir dekhna aapki success train ki speed kitni boost hoti
hai.
 Apne content or featured image ke liye ek fix size set kare.
Har image me apna watermark add kare. Image text apni 
style me likhe.
Mostly khud ki image create kare.Image ko baki sab se
 different look de.
Aapki image jitni good looking hogi user ko utna hi attract
karengi. Blog content me image ko isiliye add kiya jata hai
taki user image ko dekh kar post content ke bare me jane use
pasand karke us par click kare. Post title, headlines ki tarah hi
image bhi content ka important part hoti hai.
 So dusro ki image content me add karna band kijiye or apnikhud ki images develop kijiye. Aap aesa kar sakte ho or koibhi aesaa kar sakta kyuki image create karna bahut easy hai.
Main jab tak apne content ke liye ek achhi image nahi bana
leta mujhe content likhne me maja nahi aata.
 Mostly 70% blogger dusre blogger ke content dekh kar kuch
usi type se writing karte hai. I sure aesa sabhi ke sath hota hai
but hume hamesha ke liye sticky nahi rahna. Hume apna
talent apni writing personality ka pata lgana hoga.
Jis din aap aesa kar loge aapke content or aapke blog par
bahut sare audience honge. I know ye aasan nahi hai. Kisi ko
apne hunar ka pata starting me hi chal jata hai or kisi ko iska
pata karne me mahine ya fir saal bhi lag jate hai.
Hume jitni jaldi ho sake apna hunar talash karna hai. Iska
sabse acha tariak hai aap bina kahi se idea le kar content
likhna shuru kare.
 Aapki style bilkul wesi honi chahiye jaisa aapka diamg
chahata hai. Agar aap without idea ke content likh pa rahe hai
but fir bhi aapko apne andar ki power pata nahi chalti to aap
long more long content write kare. Jab hum apne dimage se
writing karte hai to ek time ke bad humare dimag me idea
aane band ho jate hai. Bas usi ke bad humara talent samne
aane lagta hai. Isi waqt hume pata chalta hai ki hum kya kar
sakte hai.
Har insan se galti hoti hai but kuch mistake aesi hoti hai jinka
humare work par bahut bura asar padta hai. Content writing
me sabse badi galti hoti hai grammar and spelling mistakes.
Aap quality content likhte ho or usme bahut jyada spelling
and grammar mistakes hai to koi bhi aapka content read
karna nahi chahega.
 Sirf itna hi nahi jin words se reader ko tension or boring ho
wese words ka istemal karne se bache. Aapka content read
karne me clear or easily samajh aana chahiye. Aapka content
dusro se kitna better or effective hoga ye aapki personality
par depend karta hai
 Jis tarah 5 rupees ka chips ka packet lene par uska test
samajh na aane par people use feck dete hai same wese hi
aapka content samajh nahi aane par log aapke blog ko avoid
kar dete hai.
 Aap kisi matter par likho bas apne readers ko satisfy karo.
Bhale hi aapko 2,000, 5,000 ya isse jyada words me content
likhna pade. Jab hum content likhte hai to ye jarur sochte hai
ki ise padh kar logo ka kya respond hoga. Ise read karke user
kaisa feel karenge.
 Jab aap complete content write karoge to old reader aapki
site par wapis aana pasand karenge. Halanki unki nazar me
or bhi site or blog honge but unhe wishwas hoga ki aapki site
par unhe full information mielgi so kisi or site par visit karne
se kya fayda.
Jab aap apne bare me likhte ho to aapke content me aapki
personality clear dikhayi deti hai. Sabse badi bat ye aapke
readers ke liye memorable hoti hai. Aapke reader aapke blog
ki posts ko bholla sakte hai but blog par aapke bare me likhi
gayi post ka ek ek words unko yaad rahega.
 Agar aap apne readers ko apni story nahi bta sakte ya fir aap
aesa karne me hitkichate ho to aap kisi or se apne story write
karwa sakte ho. However, apne readers ke sath apna
experience or apne blog ka experience dono share kare taki
aapki wajah se kisi or ko bhi help mil sake.
Sirf apne bare me hi nahi aapke sath work karne wale or
jinhone ne aapki successful hone me help ki aapki kahani me
un sabhi ka bhi jikar hona chahiye. Aap chaho to other
blgogers ko interview de kar bhi apne thoughts share kar
sakte ho.
Blog  ki duniya me aap jitna jyada success ho oge otherblogger unta hi jyada aapka interview lena pasand karenge.
Aap email ya other messaging service se interview de sakte ho
ya face to face video interview ho to bat hi kuch or hogi.
 Agar hum sahi tarike se mehanat karenge to paisa or duniya
dono humare piche bhagenge. Ye duniya usi ko salam karti
hai jo success hai. Kisi bhi cheez ko pane ke liye humara uske
kabil hona jaruri hai. Jis din hum uske kabil ho jayenge god
or duniya wo cheez aapko bin mange la kar de degi.
good luck...
niche coment jarur kare

No comments:

Post a Comment

my